Monday 29 August 2011

aayat-e-hijr ki tafseer badal jati hai

safha-e-waqt pay tehreer badal jaati hai,
aayat-e-hijr ki tafseer badal jati hai,


esa ik waqt bhi aata hay meri neend pay jab,
khwab se pehle he tabeer badal jati hai,


ab to har lamha, mera qaid main kut jata hai,
farq sirf itna hai zanjeer badal jati hai,


waqt her baat ko mehfooz to ker laita hai,
han mager baat ki taseer badal jati hai,


partha rehta hon main haathon ki lakeerain yun bhi,
main ye sunta tha k taqdeer badal jati hai,


aik muddat se usy deikh raha hoon MOHSIN,
choona chahoon to woh tasveer badal jati hai..

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets