Thursday 1 September 2011

Chalo khatam hoi aaj say dastaan-E-muhabbat

Chalo khatam hoi aaj say dastaan-E-muhabbat
Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda kertey hain


Chalo aaj say hum chahat k zanda'n main muqeed huay
Teri yaad k sehra main dard-E-maazi ki wa'eed huay


Chalo ab kitaab-e-zeest se awraq-e-wafa palat'tay hain
Keh ab hum "wafa" ko jafa likhaingay , saza likhaingay


Keh ab hum apni bheegi january ki shuru'aat
Teray bakhsay huay azaab-e-tanhai se kertaY hain


Chalo ab teri muhabbat ki umar qaid muqaddar hoi
(keh hum ko wafa nibhanay ki saza to milni thi)


Chalo ab hum apney haathon ki lakeero'n say
Tera aks-e-jaa'n mita daingay


Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-E-muhabbat . . ..
Shab ki tanhai main chupke say hata daingay

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets