Monday 29 August 2011

Dasht-e-hijraan main na saaya na sadaa tere baad

Dasht-e-hijraan main na saaya na sadaa tere baad
Kitney tanha hain tere aabla paa tere baad


Lab pe ik harf-e-talab tha na raha tere baad
Dil main taaseer ki khwahish na dua tere baad


Aks-o-aaena main ab rabt ho kya tere baad
Hum to phirtey hain khud apney se khafa tere baad


Perahen apna salaamat na qaba tere baad
Bus wohi hum hain wohi sehra ki rida tere baad


Dard seenay main hua noha sara tere baad
Dil ki dharkan hai k maatam ki sadaa tere baad


Aik hum hain keh bay-barg-o-nawa tere baad
Werna aabad hai sab khulq-e-Khuda tere baad


Ae falak naaz meri khaak nishaani teri
Main ne mitti pe tera naam likha tere baad


Tu k simta to rag-e-jaan ki hadon tak simta
Main k bikhra tu sameta na gaya tere baad..

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets