Monday 29 August 2011

Humein bhi rukhsat ki rasam kuch to nibahna thi

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain
Yeh phool khushboo ki raayegani se dar gaaye hain


Humein bhi rukhsat ki rasam kuch to nibahna thi
Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain


Yeh teer jitney fizaa main aakar thehar gaaye hain
Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain


Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi
Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain


Yeh hum jo sheher-e-wafa main gumsum kharray hue hain
Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain


Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein
Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain


Humein bhi saahil pe geet likhna thay seepiyon se
Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets