Monday 29 August 2011

Mazaaron per mohabbat ki jaawidani sun rahay thay

Mazaaron per mohabbat ki jaawidani sun rahay thay,


Kabootar keh rahay thay hum kahaani sun rahay thay,


Meri guriya teray jugnoo humari maaon kay ghum,


Hum ik doojay se bachpan ki kahaani sun rahay thay,


Kabhi sehraa kay seenay per bikharta hai tu kaisay,


Sunheri geet gaaata hai yeh paani sun rahay thay,


Guzarti umar kay har ik lamhay ki zabaani,


Mohabbat rayegaani! Rayegaani sun rahay thay,


Mizaaj-e-yaar se itni shinasayi ghazab thi,


Hum uski guftgo main bay dihaani sun rahay thay,


Wafa kay sheher main aik shaam thi khamosh baithi,


Hum us main bhi kamaal-e-khush bayani sun rahay thay,


Dua-e-akhir-e-shab aasmaan ko choo rahi thi,


Navaid-e-roshni uski zabaani sun rahay thay,


Woh bachay shaam ko chopaal main baithay huye thay,


Kay jaisay daastaan koi puraani sun rahay thay,


Hatheli per rakhay pholon pe koi aansoo giray thay,


Hum apnay dil pay unki hukumraani sun rahay thay......

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets