Sunday 28 August 2011

muhabbat ab nahi ho gi

Sitaray jo damaktay hain


kisi ki chashm-e-heraan main


mulaqatain jo hoti hain


jamal-e- abr-o-baraan main


yeh na abaad waqton main


dil-e-nashaad main ho gi


muhabbat ab nahi ho gi


yeh kuch din baa'd main ho gi


guzar jayen gay jab yeh din


yeh unki yaad main ho gi ...

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets