Monday 29 August 2011

zakhmi thay bohat paaooN musaafat bhi bohat thi,

rasta bhi kaThIn, dhoop meiN shiddat bhi bohat thi,


saaye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi,


kheme na koii mere musaafir ke jalaaye,


zakhmi thay bohat paaooN musaafat bhi bohat thi,


sab dost mre muntazir-e-parda-e-shab thay,


din meiN to safar karne meiN diqqat bhi bohat thi,


barrish ki duaaoN meiN nami aaNkhi ki mil jaaye,


jazbe ki kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi,


kuchchh to tre mausam hi mujhe raas kam aaye,


aur kuchchh mri miTTi meiN baghaawat bhi bohat thi,


phooloN ka bikharna to muqaddar hi tha lekin,


kuchchh is meiN hawaaoN ki siyaasat bhi bohat thi,


is tark-e-rafaaqat pe pareshaaN to hooN lekin,


ab tak ke tre saath pe herat bhi bohat thi,


khush aaye tujhe shehr-e-munaafiq ki ameeri,


hum logoN ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi.....

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets