Friday 30 September 2011

Aik shikasta din ki mutthi bund hai kuch samaan liye

Aik shikasta din ki mutthi bund hai kuch samaan liye
Kon isay ab meray elawa kholney ka dukh jhelay ga
Kon yahan ab be-kal hoga dil main kuch arman liye
Gar yeh mutthi khul jaye to jantay ho kya pao gay...??
Aansoo ban kar beh janay wali aik adhoori neend ka dukh
Aik sisakta sajdah jis kay aakhir main do uthay haath
Bin mangay kuch, dhalkey hon gay aapna aap be-jaan liye
Aik jhijakta aks, lamha bhar chamka tha aainay main
Doojay pal hi khudh say khafa tha kuch tevar anjaan liye
Sehra honton ki woh hasrat piyaas ka ik meezan liye
Do aankhain jo gum sum hain ab khwabon ka ehsan liye
Us manzar ko takti reh gayeen jo ab shayad badley ga
Aik udasi ka paikar kuch bikhray bikhray halon main
Ishq ka pehla misra likh kar jazb ka ik deewan liye
Ik adhoori nazm ka misra .. ik takmeel ki khwahish main
Samjhay jany ki hasrat ka na mumkin imkaan liye
Sari umr ki umeedon kay be-rooh jismon ka lashkar
Aaj bhi yakja ho betha tha rayeegan janay ki khatir
Ik musalsal mehv e intezar tamanna janay kya kya dheyan liye
Din kay kinaron par kuch boseeda safhay raakh ki soorat thay
Apney andar jal bujhi shikaston ki ik dastaan liye
Kon isey ab meray elawa kholnay ka dukh jhelay ga !!!
Aik shikastaa din ki mutthi bund hai kuch samaan liye

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets