Friday 23 September 2011

Hawaa-e-Shehr-e-JanaaN

Hawaa-e-Shehr-e-JanaaN
kuch kaho na kaya kahaa uss ney?
ussey tumney meri aankhoN ki weerani bataai tou?
woh kaya bola…….?
ussey tumney kaha hogaa keh meri har Duaa ki
ibtidaa aur intehaa woh hay
ussey yeh bhii bataana thaa………..
keh usski ik khushii ka mol meri Zindagi Thehrey
tou sodaa phir bhi sastaa hay
ussey meray muqadar kay
sabhi roshan sitaarey sounp kar kehtii
sitaaroN ka Thihkaana tou azal say aasmaaN hay
aur meray aasmaaN tum ho
ussey woh saarey mousam
jin kay lehjay Rung aur khushboo say bheegay heiN
thamaa kar itna kehna thaa
khizaaN maiN khud pay jhailooN gii
hawaa meri saheli ………
kuch tou bolo keh woh kaisa hay?
kaho na kaya kahaa ussney?
koi paiGhaam tou hogaa?
jo merey naam bhejaa ho
hawaa………..yeh kaya??
tumhaari aankh meiN aansoo
tumhaarey honT neeley paR rahey heiN kyuN?
tumhaarey jism meiN larzish
chhaTakhtey aainoN si khud kalaami meiN
yeh mujh say kayaa kahaa tumney?
k tum iss shahr-e-sanG ki
oonchii faSeeloN sey
buhat hi deir tak Takraa kay thak kar louT aai ho
keh shahr-e-dilbaraaN kay
har dareechey, dar, Galii koochhey pay pehrey heiN
tumheiN merey payaamoN ka jawaab iss koo’ey jaanaaN say
FaQat ik sard aur be-ant Khamoshii ki Surat meiN mila hay
Hawaa-e-shahr-e-jaanaaN……
na-samajh ho tum…..tumheiN shaaid pataa bilkul nahi hay
keh khaamoshii………..
samandar ki tarha gehrey taa’aluQ ki bazaat-e-khud gawaahi hay
chalo aao….. merey kaandhey sey lag kar ghum bahaa daalo
merey seeeney meiN Thandii aah ban kar iss tarhaa utro
merey Ehsaas ko pathar bana daalo

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets