Saturday 1 October 2011

Merey be-khabar

Merey be-khabar
merey roz-o-shab k naseeb meiN
terey baa’d dard hi reh gaey
merii chaahtoN ki ameen jheel k paaniyoN pe
Kanwal ka aik bhi phool kab sey khila nahiN
kisi raaj-huns ney……
chaahatoN ki koi kahaani raQam na ki
kisi door-dais sey panchhiyoN ka
MohabbatoN bhara Qaafla na utar saka
kaii abr lamhey guzar gaey
Meri pyaas pyaas hi reh gai
kisi uRtey Punchi k geet meiN
teri waapsi ki naveed ho
meri aas aas hi reh gai
teri qurbatoN ki tamaazteiN meiN na chuh saki
Merey haath sard hi reh gaey
Chali aesi hijar ki aandhiyaaN
meri shaakh-e-jaaN sey
tumhaarey lams k Phool
saarey hi jhaR gaey
kaii mosamouN sey yeh haal hey
Meri Shaakh-e-jaaN na hari huwii
aur Phool chunaney ki chaah meiN
merey haath meiN teri yaad k
kuch barg-e-zard hi reh gaey

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets