Friday 30 September 2011

Merey hi dil par huay hain naazil, mohabbaton kay azaab saarey


Rafaqaton nay diay hain mujh ko adawaton kay, ataab saarey
Merey hi dil par huay hain naazil, mohabbaton kay azaab saarey
Khushi ki mehfil na raas aaee, hazaar chaaha keh muskurayen
Tapish say ghum ki jhulas gaey hain, shaguftagee ka gulab saarey
Yahi hay tadbeer-e-husn-e-gulshan, ewaz gulon key miley hain kaantey
Ajeeb qismat ka hay karishma, gunha baney hain sawab saarey
Gharoor say sar utha rahay they, wo jashan-e-hasti mana rahay they
Hawa nay kheencha jab apna daaman hawa hoay phir ehbaab saarey
Wo khushboon ka libaas pehney, mila kuch aisay keh aik pal main
Parray huay they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab saarey
Sawaal saada sa zindagi say, kiya tha hum nay bhi aik SARWAT
Wo pathron ki hui hay barish keh mil gaey hain jawaab saarey

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets