Thursday 29 September 2011

Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha


Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi roti hai kaha bhi tha

kinaarey k qareeb lay jaa ker
ye kashti ko daboti hai kaha bhi tha

isay tum dil ki dharti ka pata mat do
ye is mein dard boti hai kaha bhi tha

muhabbat mein khushi k baad gham ki rut
bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha

luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil
bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha

azal sey is ki fitrat hai zamaaney ko
jaga ker khud yeh soti hai kaha bhi tha

yeh ser sey paa'on tak bus raakh ker dey gi
bohat bey dard hoti hai kaha bhi tha

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets