Thursday 22 September 2011

us ki aankhon main likhi hoti theen jal thal baatain

mujh se milta tha to kerta tha wo bojhal baatain
us ki aankhon main likhi hoti theen jal thal baatain


kitnay asraar thay pinhaan uski zaat main
us ki khamoshi samander thi aur saahil baatain


uski aankhon main tha junoo'n aUr chehray pay skoo'n
kitna deewana tha wo shakhs aur pagal baatain


meri tanhaai ka jungle bhi mehak uth'ta hai
yaad aati hain jab bhi wo sandal baatain


meri hasti ko chupa leti thi jo saaye main
dhoop mausam main wo ker jaata tha badal baatain


log lafzon se bhi mar jaatay hain ehsaas karo
rooh ko das leti hain aksar yahaan qaatil baatain


bheegti aankhon main khushbu samait rakhta tha
jheel aankhon main likhi hoti thee kanwal baatain

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets