Thursday 29 September 2011

Mujhay ik khaab ka taawan bharna hai

Suno logo !
Meri aankhain khareedo ge
Bohat majboor halaat mein mujhay neelaam karni hain
Koi mujh say naqd lay lay
Main thoray daam kar doon ga
Jo pehli boli day day ga
Usi ke naam kar doon ga
Mujhay bazaar waalay keh rahay hain kam aql taajir

Aray suno logo !
Nahin hoon main hirs ka khwahaan
Nafa nuqsaan ki shatranj nahin main khelnay aaya
Koi mujh ko kahay na manchala sa behunar taajir
Bata paaoon tumhain kesay
Kis tashweesh mein hoon main

Suno logo !
Bari mehboob tar hain mujh ko meri neem tar aankhain
Magar ab bechta hoon keh
Mujhay ik khaab ka taawan bharna hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets