Friday 23 September 2011

mujhay is tarah bay-amaaN na kar…

meray ajnabi
meray bay-khabar
meray haath meiN kahaan yeh hunar
keh main beech raah say wapsi ka
dil mein bhii la sakuN
tumhain chohR kar kisi moR par
kisi aur rastay pay jaa sakuN
meray chaara-saz-o-rafiq-e-jaaN
meray ajnabi meray aashna
koi aisa wesaa gumaN na kar
mujhay teray sath say baRh kaytou
kisi hamsafar ki talab nahi
keh jo haath main tera hath hay
tou safar hii meri hayaat hay
ye safar thamay ga….
tou mera naam-o-nishaN kahan?
meray hamsafar
main teray bina
kahiN moat-o-zeest kay darmiyaaN
na zameen meri na aasmaaN
meray badgumaaN meray mehrbaaN
meray raah-bar
meri iltajaaoN pay dhayaaN kar
meri zindagi kay safar ko dil say dawam day
meri manziloN ko dhuwaaN na kar
tera saath hay meri zindagi
mujhay is tarah be-amaaN na kar…

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets