Friday 30 September 2011

"MUJHAY US SE MOHABBAT HAI”

Wo mujh say nahi kehta …
Keh usay mujh say mohabbat hai …
Magar woh aaj kal, aik junoon ki zad main rehta hai …
Ajab aik bekhudi hai jo usay bechain rakhti hai …
Woh mujh say baat karta hai …
Bohot hi aam si, mousam ki, logon ki …
Meyhaz dunya ki rasmi si …
Woh mujh say baat karnay kay, bahanay dhoondta hai in hawalon say …
Samajhta hai main us ki aam si baaton ko bas “yoonhi” samajhti hoon …
Woh milta hai aksar bahanon say …
Keh main guzar raha tha yahan say to socha keh baat hi kar loon …
Samajhta hai keh main us kay in bahanoon ko na janoongi …
Kabhi jo phone karta hai …
Tou us ki mohabbat us kay lehjay say chalakti hai …
Mujhay bechain karti hai …
Woh mera dhayaan rakhta hai …
Meri har baat ko hi bin kahay jaan leta hai …
Samajhta hai woh yeh phir bhi …
Key us nay khud ko chupa rakha hai khud hi say …
Magar aksar …
Woh khud anjanay main apna yeh parda chaak karta hai …
Key jab meri – bohat pehlay kahi hui har baat ko woh yaad rakhta hai …
Aur unhi lafzon main meray saamnay dohra bhi deta hai …
Youn lagta hai …
Keh us nay meri kahi har baat ko yaad rakha hai …
Woh jaisay aik Sahifa ho …
Woh mujh say yeh nahin kehta …
Keh us ki khwahish us ko bohot bechain rakhti hai …
Ya shayad in dinon woh khud say bhi chupata hai …
Magar …
Uski nigaahain aksar us ko nakaam karti hain …
Keh saray Jaam ulfat kay woh bhar bhar kar lutaati hain …
Woh darta hai keh kahin woh kho na day mujh ko …
Keh koi baat us ki mujh ko us say duur na kar day …
Woh mujh ko sochta hai …
Jaagta hai raat bhar woh bhi …
Magar shayad abhi us ko mohabbat main ….
Khamooshi say hi jalna hai …
Keh woh jab tak parh nahin leta …
Ye aankhain, jis main keh us ka naam likha hai …
Keh meray lahoo ki gardishon main raqs karti chahatain us ki …
Woh jab tak paa nahin leta …
Samajh leta nahin jab tak …
Keh main bhi gaamzan hoon …
Khamooshi say us kay raastay par …
Main bhi jaagti hoon, sochti hoon raat bhar us ko …
Magar us say nahin kehti …
Keh …

"MUJHAY US SE MOHABBAT HAI” …

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets