Thursday 29 September 2011

Mujhay zaat kay ista’aron main rakhna

Mujhay apnay lafzon ki khusbo’on main rakhna 
Mujhay zaat kay ista’aron main rakhna 
Mujhay apnay aangan main jhuktay huay chand taaron main rakhna 
Meray chund khat hain jinhain main nay 
Apnay lahoo ki sadaqat say likha tha tum ko 
Meray chund lamhay hain jin main 
Sada’on ki pakeezgi say pukara tha tum ko 
Meray chund lehjay hain jin main 
Tumhari hi tarz-e-takhatub ka rang aa chala tha 
Meray chund jumlay hain jin ki 
Sama’at liye ab tumhain ik muddat hui 
Meri kuch pasandeedah batain bhi hain 
Jin ko hasil tumhari pasandeedgi thi 
Meri kuch kitabain hain 
Jo tum nay shaid yunhi mang li theen 
Mera ik mazi hai 
Jis ko tumhari rafaqat nay mazi ka mafhoom bakhsha 
Mera ik aaindah tha Jis kay aaina khanon mai 
Aks aashna thay tumharay tarasheeda abroo, hijr si jabeen aur khaabon si aankhain 
Meri chund khushiyan theen jin pay tumhari 
Qaamat ka saya-e-afreen tha 
Woh aik phool jis ko kabhi tum nay 
Saaray phoolon say chun ker rakh liya tha 
Unhain, aur kuch aur baaton ko bhi 
Apni yaadon main rakhna 
Unhain guftogoo kay kinaron main rakhna 
Ishaaron main rakhna 
Unhain zaat kay ista’aron main rakna

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets