Thursday 22 September 2011

Tum nay tootay huay patton ko kabhi dekha hai!


Tum nay tootay huay patton ko kabhi dekha hai!
Darakht kay haath say giray huay sookhay pattay!
Khaak-aalooda, sitam-raseeda, faryaad-kanaan
Hawa kay rahm-o-karm par keh ab lay jaaey jahaan
Jin ki zaat mein pasti hai, qismat mein fanaa
Bain kartay huay, tarraptay huay, sehmay huay
Kisi raah-geer kay qadmon ki dhamak suntay huay
Jin ki aankhon mein be’kasi kay siwa kuch bhi nahi
Jin kay bas mein be’basi kay siwa kuch bhi nahi
Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao
Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!!
Tum nay thehrey huay pani ko kabhi dekha hai!
Kisi sookhti hui jheel mein be’jaan sa thehra paani!
Jis kay qatron mein haraarat ki koi ramaq bhi nahi
Jis ki lehron mein zindagi ki koi chamak bhi nahi
Jheel ki goad mein simat’ta hua gadla paani,
Wohi camakta hua, shafaaf sa pyara paani
Jo kabhi mashkeeza-e-abr kay labon say chalka tha
Aaj haqaarat say taktey hein usey guzarney waaley
Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao
Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!!
Tum nay uljhay huay dhaagon ko kabhi dekha hai!
Apnay hi aap mein uljhey huay kacchey dhaagay!
Jo apnay aap mein hi reh gaey hon gunjal ban kar
Apnay wajood ki gehraaiyon mein ik uljhan ban kar
Tarha tarha say uljhay, jagaa jagaa say kharaab
Jo agar chaahein bhi keh sanwaar lein muqaddar apna
To apni hi zaat ka sira dhoondh dhoondh kay thak jaaein
Wohi rangeen say dhaagay jo kabhi thay misl-e-dhanak
Aaj apney aap mein yun uljhey hein keh sulajhtay hi nahi
Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao
Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets