Thursday 22 September 2011

yeh kis kay sog mai shorida haal phirta hoo’n


yeh kaun doob gaya aur ubhar gaya mujh main
yeh kaun saaye ki suraat guzar gaya mujh main
yeh kis kay sog mai shorida haal phirta hoo’n
woh kon shakhs tha aisa keh mar gaya mujh main
ajab hawa-e-baharaa’n nay chara-saazi ki
woh zakhm jis ko na bharana tha bhar gaya mujh main
woh aadmi keh jo pathar tha jee raha hai abhi
jo aaina tha woh bikhar gayaa mujh main
misaal kya keh woh jab bhi kareeb say guzara
to youun laga keh koi raqs kar gaya mujh main
woh sath tha to ajab dhuup chanaoo rehti thi
bas ab to ek hi mausam thehar gaya mujh main

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets