Wednesday 5 October 2011

Mohabat Rog Hai Jana Ajab Sanjog Hai Jana

Ajab sanjog hai jaana
Ye kaisa jog hai jaana

Baray boorhay batatay thay
kaee qisaay sunatay thay
Magar hum mantay kab thay
Ye sab kuch jantay kab thay
Ye batain zikar k qabil
bhala gardantay kab thay

ana k takht pay bethay
Humain maloom hi kab tha
Anaa k takht say ooper
Bohat saaree bulandi par
Kahin pariyon k jhurmut mein
Teray pairoon ki payaal mein
Teray chotay say gaaon mein
taree zulfoon ki chaaon mein
sitary chand suraj
waaley'haana raqs kartay hain

hamain maloom he kab tha
teray qadmon ki aahat per
gulabi muskarahat per teray hontoon ki jumbish per
teray sir kay ishray per
sada-e-dilbarana per
negaha-e-qatilana per
jafa-e-mehrmana per
ada-e-qatilana per
chaman kay phool saaray
is tarha say dhayan daytay hain
zara say wasl kay jhaansay main
apni jaan daytay hain

hamian kab ilm tha jana
teray paykar say dhul kar
chaandani har soo bikhrtee hai
shab-e-mehtab ki dosheezgi
kaisay nikhrtee hai
teri awaaz weraanay main
kya jadu jagatee hai
teray naghmay fiza main
kis tarha jaltarang bajatay hain
bohat pukhta iraday
kis tarhaa say toot jatay hain

hamain idraak he kab tha
hamain kamil bharosa tha
hamaray sath kisi surat
bhee aisa nahi ho ga
dil-e-nadan kabhi
qaboo say bayqaboo nahi ho ga
yeh dunya-daar
dunya-daar say saadhuu nahi ho ga

Magar.............


Magar phir youn hua jana
na janay kyun hua jana
barra afsoon hua jana
jigar ka khoon hua jana

teray abroo kee ik jumbish
say ghayal ho ga'ay hum bhee
baray bay multafit phirtay thay
maayal ho ga'ay hum bhee
sakahwat karnay aay'ay thay
aur saayal ho ga'ay hum bhee
barray boohron ki in baaton kay
qayal ho ga'ay hum bhee
Keh............
Mohabat Rog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana

Yeh Kaisa Jog Hai Jana..............!!!

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets