Tuesday 25 October 2011

rakht e safar men rakhoon ga bus teri justaju




yeh phool yeh parind yeh ghar chhor jaaun ga
lekin mein sab men apna asar chhor jaaun ga


rakht e safar men rakhoon ga bus teri justaju
baqi her aik cheez idhar chhor jaaun ga


lagta hai mein bhi saya e deewar ki terha
ik roz din dhallay yeh nagar chhor jaaun ga


bachon ki terha paala hai teray khayal ko
sochta hoon is ko kidhar chhor jaaun ga


mein woh nhi hoon keh moat say mil kar na aa sakuun
mein apnay loatnay ki khabar chhor jaaun ga


tarsain gay phir yeh log meray shor ko saagar
chirriyon ki terha mein bhi shajar chhor jaaun ga

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets