So Jaaun To Khwabon Mein Bhi Aata Hai Wohi Shakhs, 
Jagoon To Mujhay Bohat Sataata Hai Wohi Shakhs 

Jis Zakhm Ka Khaliq Bhi Koi Aur Nahin Hai, 
Us Zakhm Pay Marham Bhi Lagaata Hai Wohi Shakhs. 

Haathon Ki Lakeeron Mein Bhi Talaashay Wo Mujhko, 
Hathon Ki Lakeeren Bhi Mitaata Hai Wohi Shakhs. 

Rakhta Hai Mujhay Qaid Bhi Ek Band Gali Mein, 
Rastay Bhi Naye Mujhko Sujhaata Hai Wohi Shakhs. 

Har Lamha Yeh Koshish Mein Usey Bhool Hi Jaaun, 
Pehlay Say Zayada yaad Bhi Aata Hai Wohi Shakhs. 

Hum Jin Say Talab Roshniyan Kartay Rahay Hain, 
Aata Hai Tho Shammaen Bhi Bujhata Hai Wohi Shakhs. 

Jo Aaeena Mein Apnay Liye Dhoondh Kay Laaya, 
Uss Mein Bhi Hamesha Nazar Aata Hai Wohi Shakhs. 

Uss Shakhs Ki Khaatir Hoon Mein Duniya Say Juda Bhi, 
Lekin Mera Duniya Say Bhi Naata Hai Wohi Shakhs. 

Khafa Ho Kar Bhi Hum Hi Ko Chaahta Hai Wohi shakhs, 
Chhoti Si Baaton Par Aksar Rooth Jaata Hai Wohi Shakhs. 

Aansoon Ki Qeemat Pehchaanta Hai Wo apni, 
Phir Kyun Aksar Aansoo Bahata Hai Wohi shakhs.