Wednesday 12 October 2011

Taza Mohabbaton Ka Nasha Jism-O-Jaan Mein Hai


Taza Mohabbaton Ka Nasha Jism-O-Jaan Mein Hai
Phir Mausam-E-Bahaar Meray Gulistaan Mein Hai


Ek Khvaab Hai Keh Baar-E-Digar Dekhtay Hain
Ek Aashnaa Sii Raushnii Saaray Makaan Mein Hai


Ek Shaakh-E-Yaasmiin Thii Kal Tak Khizaan-Asar
Aur Aaj Saaraa Baagh Usii Kii Amaan Mein Hai


Taabish Men Apnii Mehr-O-Maah-O-Najm Say Sivaa
Jugnuu Sii Yeh Zamiin Jo Kaf-E-Aasmaan Mein Hai


Khushbuu Ko Tark Kar Kay Na Laaye Chaman Men Rang
Itnii To Suujh-Buujh Mere Baaghbaan Men Hai


Har Jaanisaar Yaad-Dihaanii Men Munhamik
Nekii Kaa Har Hisaab Dil-E-Dostaan Mein Hai


Baithe Rahenge Shaam Talak Teray Shiishaagar
Ye Jaantay Hu’ay Keh Khassaaraa Dukaan Mein Hai


Masnad Kay Itnay Paas Na Jaaye Keh Phir Khhallay
Vo Bay-Talluqii Jo Mizaaj-E-Shahaan Mein Hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets