tujhay dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
na haram ka mujh ko khayal tha na sanam kaday ka gumaan raha

teri chashm-e naaz ka maikadah mujhay be-nayaz sa kar gya
na sha'oor-e kon-o makaan raha na khayal-e sood-o zayan raha

karray waqt mein jo main ghir gaya teri yaad hi bani mojza
shab-hijr mein bhi ay jaan-e jan teri qurbaton ka samaa raha

mujhay zindagi say bhi pyar tha mujhe ishq say bhi theen aqeedatein
go bohat katthin thay yeh raastay tera saath tha main rawaan raha