Saturday 15 October 2011

zindagi k mailay main khvahishon k railay main

zindagi k mailay main
khvahishon k railay main
tum say kya kahen jana
is qadar jhamelay main
vaqt ki ravani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht lamakani hai
hijr k samandar main
takht aur takhtay ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunaani hai

bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai
umr bhar ki baaten kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziray hain
beshumar moti hain
aankh k darichay main
tum nay jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gilay ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k aata hai
lafz ki fasilon par
tuut tuut jata hai

zindagi say lambi hai
bat ratjagay ki hai
rastay main kaisay ho
bat takhliye ki hai
takhliye ki baaton main
guftagu izafi hai
pyar karnay vaalon ko
ik nigah kafi hai
ho sakay to sun jaao
ek din akailay main
tum say kya kahen jana
is qadar jhamelay main

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets