Wednesday 30 November 2011

mohabbat kii duniyaa meN mash'huur kar duuN




mohabbat kii duniyaa meN mash'huur kar duuN
meray saada dil tujh ko maGhruur kar duuN

teray dil ko milney kii Khud aarzuu ho
tujhey is qadar Gham sey ranjuur kar duuN

mujhey zindagii duur rakhtii hai tujh sey
jo tuu paas ho to usey duur kaar duuN

mohabbat kay iqraar sey sharm kab tak
kabhii saamnaa ho to majbuur kar duuN

yeh bey rangiyaaN kab tak ay husn-e-rangiiN
idhar aa, tujhey ishq meN chuur kar duuN

tuu gar saamney ho to maiN beKhudii meN
sitaaroN ko sajdey pey majbuur kar duuN

nahiiN zindagii ko vafaa varnaa Akhtar
mohabbat sey duniyaa ko maamuur kar duuN



kyuN Khilwat-e-Gham meN rahtey ho, kyuN gosha_nashiiN bekaar huay ?





kyuN Khilwat-e-Gham meN rahtey ho, kyuN gosha_nashiiN bekaar huay ?
aakhir tumheiN sadmaa kaya pohANcha, kAya soch kAY Khud aazaar huay ?

kyuN saaf kushaada rastoN par, tum ThokareN khaatey phirtey ho ?
kyuN teera-o-taar sii galiyoN meN, tum aan kay Khush_raftaar huay ?

kyuN rastaa chhoRh kay chaltey ho, kyuN logoN sey katraate ho ?
kyuN chaltey-phirtey apney liye, tum aap hi ik deewaar huay ?

kaya uTh'tey baiTh'tey sochtey ho, kaya likhtey paRhtey rahtey ho ?
is umr meN yeh be_kaifii kyuN, kis vaastey nek_atwaar huay ?

kyuN aisey safar par nikley ho, maNzil nahiiN jis kii bhii ko_ii ?
kyuN raah pey aisii chaltey ho, saaye bhii jahaaN diiwaar huay ?

kyuN tark-e-alaa'iq ko tum ney, samjha hai ilaaj-e-Gham aaKhir ?
dekho to ''wali-soofi'' bhii yahaaN, kis ThaaT kay duniya_daar huay

maayoosii-e-paiham sey tum ney, yaaraana yeh kaisa gaaNTha hai
andoh-o-alam they jitney bhii, aakhir vo galay kaa haar huay

is kalba-e-ehzaaN se hargiz, ubhrey ga na sooraj ko_ii bhii
kab khaak sitaara baar hu_ii, kab saaye sehar aasaar huay

kab sub'h kay naaley kaam aaye, kaya girya-e-niim shabii sey mila
is qariya-e-Khwaab faroshaaN meN, tum kis kay liye bedaar huay ?

bekaar ulajhtey rehtay ho,KyuN ulTii-seedhii baatoN meN
yeh mar'haley vasl-o-hijraaN kay, ab aisey bhii kyuN dushwaar huay ?

us koochey kii raah to batlaa'o, jis koochey meN jaana mushkil hai
us shakhs ka naam to batlaa'o, tum jis kay liye beemaar huay

"Mushfiq" ney yeh baateN sun kay kaha, baateN na hu'iiN ash'aar huay
yeh dard baTaaney vaaley bhii, kis shaan kay Khush_guftaar huay

sad shukar keh Khush_asloobii sey, takmeel ko pohaNchii rusvaa'ii
mohtaaj-e-duaa they jo khud hii, aakhir vo meray Gham_khwaar huay
 




Khushbu Ka jhonka lehraya, her qarriya shaadab hua,




Khushbu Ka jhonka lehraya, her qarriya shaadab hua,
woh jub ghar say baahir aaya, sara shehar gulaab hua,

bedaari si bedaari hai ab aankhon menn neend kahan,
jis kay KHAWAB kabhi dekhay they ab woh chehra KHAWAB hua,

us nay mera naam likha tha khud hi apnay naam kay saath,
wabasta theen jis say yaadein ab wo shajar  naayaab hua,

main nay to ashkon men us ka dard chupana chaha,
or bhi zayada chamka jub yeh shola zair e aab hua,

ab main din ki roshni men us ko dhoondta phirta hun,
wo chehra jo bister e shab per tamseel e mehtaab hua,

kaisi baatein kertay ho tum, choro aisi baaton ko,
yaar tabbassum us say milna deewanay ka khawab hua ...

Tabhi to main Mohabbat ka "Hawalati"nhi hota...!



Tabhi to main Mohabbat ka "Hawalati"nhi hota...!
yahan apney siwa koi"Mulaqati"nhi hota...!

Aur ab is baat par bhi mujh sey meray yaar ulajhtay hain...!
keh mein her baat sun laita hun "Jazbaati"nhi hota...!

Tujhay dil men jagah di thi, nazar say door kaya kartay

Jo markaz men thehar jaaye mazaafati nhi hota

Griftar-e-wafa ronay ka koi eik mousam rakh...!
Jo naala roz beh niklay wo"Barsati"nhi hota...!

Bicharnay ka irada ho to mujh sey Mashwara kerna...!
Mohabbat men koi bhi Faisla "Zaati"nhi hota...~



تبھی تو میں محبت کا حوالاتی نہیں ہوتا
یہاں اپنے سوا کوئی ملاقاتی نہیں ہوتا

اور اب اس بات پر بھی مجھ سے میرے یار الجھتے ہیں
کہ میں ہر بات سن لیتا ہوں جذباتی نہیں ہوتا

تجھے دل میں جگہ دی تھی ، نظر سے دور کیا کرتے
جو مرکز میں ٹھہر جائے مضافاتی نہیں ہوتا

گرفتار ِ وفا! رونے کا کوئی ایک موسم رکھ
جو نالہ روز بہہ نکلے وہ برساتی نہیں ہوتا

بچھڑنے کا ارادہ ہے تو مجھ سے مشورہ کر لو
!!!...محبت میں کوئی بھی فیصلہ ذاتی نہیں ہوتا

Chali hai shehar mein kaisi hawa udasi ki




Chali hai shehar mein kaisi hawa udasi ki
Sabhi ney aurh rakhi hai rida udasi ki

Libas-e-gham mein to woh aur ban gaya qaatil
Saji hai kaisi,kisi par qaba udasi ki

Ghazal kahoon to khayalon ki dhund men mujh sey
Karay kalaam koi apsara udasi ki

Bohat dinon sey teri yaad kyun nahin aaii
Woh meri dost meri humnawa udasi ki

Faraz ne tujhey dekha to kis qadar khush tha
Phir us kay baad chali woh hawa udasi ki

kis shakhs ko tu ney apni wafa di thi?




Meray ishq ko kuch aur hawa di thi
Ik samundar ney sehra ko sada di thi

uss ka dhuwan ab bhi dil sey utth,ta hay
tu ney basti meray khawabon ki jo jala di thi

chand ney phir yaad dila di mujh ko
wohi surat jo main nay bhula di thi

Aj dekha usay to phir sey jal uthi
wasal ki jo aag main nay bujha di thi

Daagh dil k jalaaey to khud sey sawal kiya
kis shakhs ko tu ney apni wafa di thi?

Us k daaman men wasal ki sadiyan theen
tu ney jo shaam zid men ganwa di thi

Hairat sey uasay dekhti rahin bujhti ankhain
us ney muhabat ki buhhat khoob saza di thi

Jab woh louta to bohat dekh k roya sehar
Hijar ne mitti mein,mitti mila di thi

Aaa Is Tarha Bandhan Jorrain Hum




Aaa Is Tarha Bandhan Jorrain Hum
Tu Khawab... Main Teri Tabeer Banoon
Tu Insaan... Main Teri Taqdeer Banoon
Tu Chehra... Main Teri Tasveer Banoon

Aaa Is Tarha Bandhan Jorrain Hum
Tu Khayal... Main Teri Tehreer Banoon
Tu Soch... Main Teri Tadbeer Banoon
Tu Lafz... Main Teri Tafseer Banoon

Aaa Is Tarha Bandhan Jorrain Hum
Tu Shakhs... Main Teri Tash'heer Banoon
Tu Maalik...Main Teri Jageer Banoon
Tu Raat... Main Teri Tanveer Banoon

Aaa Is Tarha Bandhan Jorrain Hum
Tu Mujrim... Main Teri Taqseer Banoon
Qaid Kar Lun Tujhay Qafs-E-Dil Men Apney
Tu Qaidi... Main Teri Zanjeer Banoon

Aaa Is Tarha Bandhan Jorrain Hum
Tu Haath... Main Teri Lakeer Banoon
Maangun Har Pal Har Ghari Tujh Ko Hi
Chahay Duniya Ka Adnaa Faqeer Banoon






Woh ojhal meri nigahon sey kahan rehta hay




Woh ojhal meri nigahon sey kahan rehta hay

Wo ashk ban kar Aankhon sey rawaan rehta hay

Kisi lamhay tanha honay nahi deti uski yaadein

Merey Aangan men mailay ka samaan rehta hay

Her gharri dil ka daricha khula rakhtay hain

Her gharri us kay aanay ka gumaan rehta hay

Log kehtay hain zakham bhar jatay hain aakhir

Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hay

Wo milay to itna bata dena usko

Tujh bin Tera pyar pareshaan rehta hay






BARISH



Teri yaadon ki rawani or yeh BARISH.
Meri baaten teri kahani or yeh BARISH.
Mera hath tera sath lambi raat or yeh BARISH.
Gum-sum shaamen sunehri raaten or yeh BARISH.
Bheegey din madham suraj halkey baadal or yeh BARISH.
Behti nadiya gaatey panchi urti dhund or yeh BARISH.
Tanha main thanha chaand mera kamra or yeh BARISH.
Meri aankhen meri neend terey khawab or yeh BARISH...

KABHI TUM MUJH KO BHULA NA DENA


Rafaqton Ki Haseen Rut Main,
Muhabton kay Gulab Saray,
Wafa Ki Dori Say Baandh Rakhna,
Keh Raston Main Bikher Na Jayen,
Keh Aik Rastay Kay Do Musafir,
Khayal Rakhna Bichar na jayen,
Yeh Jilmilaty Say Chand Taaray,
Yeh Muskuratay Say Phool Saaray,
NeelGun Say Yeh Rang-e-Fitrat,
Shafq Ki Lali Subha Ka Anchal,
Gulabi Mosam Yeh Urtay Badal,
Gawah Hain Meri Muhabton Kay,
Faqt Hay Itna Hi Tumsay Kehna,
Mujhay Wafa Ki Saza Na Dena,
Keh Yaad Rakhna Hamesha Mujh Ko,
KABHI TUM MUJH KO BHULA NA DENA..

ISTIKHARA



mein dasht e shoq men kab tak usay pukara karoon
woh mera hai ya nhi ab istikhara karoon


tamaam log dekhtay hain nazar bhar kay usay
to kyun na mein roz uski nazar utara karoon

Aik shararat kartey hain,



Aik shararat kartey hain,
Aao muhabat kartey hain,


Hansti aankhon sey keh do,
Darya hijrat kartey hain,


Kuch dil aisey hain jin par,
Hum bhi hukoomat kartey hain,


Koi bat to hai mujh main,
Dushman bhi izzat kartey hain,


Zinda rehna hai dushwar,
Achaa.. to himat kartey hain,


Waisey hotay nahi hain log,
jaisey chahat kartey hain,


Aksar apney aap sey hum,
Teri shikayat kartey hain..!!..




Meri Bay’los Muhabat K Gawah Chaand Bata!




Meri Bay’los Muhabat K Gawah Chaand Bata!

Mein nay Har Roz Usey Yaad Kiya Hai Ya Nahi?

Woh Jo Maaruf Hai Mash’hoor Hai Logon K liye!

Dil Yeh Us K Liye Aabad kiya Hai Ya Nahi?

Meri Bay’los Muhabat K Gawah Chand Bata!

Mein nay Har Roz duaaon K Mehktey Gajrey,

Jhil Milati Hui Aankhon K Bikhartey Aansu,

Gud’Gudaatey Huay Ehsaas Ki Piyari Khushboo!

Us K Koochey Ki Taraf Roz Pohanchaai Keh Nahi?

Meri Bay’los Muhabat K Gawah Chaand Bata!

Tehal Kar Dair Talak Raat Ki Tanhai Men,

Dil Ki Gehraaiyon Sey Mein nay Usey Socha Keh Nahi?

Sar’Srati Hui In Mast Hawaaon Ki Qasam Kha K Bata!

Usay Mein nay Dil Ki Gehraaiyon Sey Toot K Chaha Hai Keh Nahi?

Teri Hi Chaandni men Laakh Sitaron K Talay,

Mein nay Pegham-e-Muhabat Usay Bheja KEH Nahi?

Meri Bay’los Muhabat K Gawah Chaand Bata!

Phir Bhi Wo mujh Sey Khafa Hai To Gila Kis Sey Karoon?

Too Hee Hamraaz Hai, Main Aor Gawah Kis Ko Karoon?

Hai Kaya Sachai Usay Kon Bataaey Ga Bhala?

MERI BAY’LOS MUHABAT K GAWAH CHAND BATA!!!!



Tuesday 29 November 2011

Bin Us K Zindagi Dard-e-Tanhai Hai



Bin Us K Zindagi Dard-e-Tanhai Hai,
Meri Aankhon Men Kyun Moat Simat aaii Hai,


Kehtay Hain Log Ishq Ko Ibadat Yaro,
Ibadat Men Phir Kyun Itni Ruswai Hai,


Mehfil men reh kar bhi Tanha rehna,
Yeh ada uski mohabbat nay sikhai hai,


Us say ta'aluq hai kuch aisa dil ka,
Jab bhi sochA usko, Aankh bhAr aaii hai.

shayad wo koi harf-e-wafa dhoond raha tha



gumsum hua awaaz ka darya tha jo ik shakhs
pathar bhi nhi ab woh, sitara tha jo ik shakhs

shayad wo koi harf-e-wafa dhoond raha tha
chehron ko baray ghaur sey parhta tha jo ik shakhs

sehra ki tarha dair sey pyaasa tha woh shayad
badal ki tarha toot k barsa tha jo ik shakhs

ay taiz hawa koi khabar us k janoon ki…?
Tanha safar-e-shauq pey nikla tha jo ik shakhs

ab aakhri satron men kahin naam hai us ka
ahbaab ki fehrist men pehla tha jo ik shakhs

haathon men chupaey huay phirta hai kai zakhm
sheeshay k khilonon sey behelta tha jo ik shakhs

mur mur k ussay daikhna chaahein meri aankhein
kuch dur mujhey chorney aaya tha jo ik shakhs

ab us ney bhi apna liye duniya k qareenay
saaey ki rafaqat sey bhi darta tha jo ik shakhs

har zehan men kuch naqsh-e-wafa chor gaya hai
kehney ko bharay shehar men tanha tha jo ik shakhs

munkar hai ab wohi meri pehchan ka mohsin
aksar mujhey khat khoon sey likhta tha jo ik shakhs




Thoray Sey Maan Tootay Hain



Hua to Kuch bhi Nahi Bus..

Thoray Sey Maan Tootay Hain..

Thoray Sey Khawab Bikhray Hain..

Thoray Sey Log Bichray Hain..

Huwa to Kuch bhi Nahi Bus..

Thori Si Neenden Ur Gaee Hain..

Thori Si Khushiyaan Chin Gaee Hain..

Thora Sa Chain Ganwaya Hai..

Huwa to Kuch b Nahi Bus..

Apna Aap Ganwaya Hai..

Aankhon ko Barasna Sikhaya Hai..

Mohabaton Ka Sila Paya Hai..

Huwa to Kuch b Nahi Bus..

Kisi Apney Ney Rulaya hai.....




ik shakhs purana yad aaya



Bikhri bikhri shaamon men

sehmi sehmi raaton men

tanha tanha lamhon men

gumsum gumsum baaton men

kuch guzra zamana yaad aaya

aaj gosha-e-tanhai men

ik shakhs purana yaad aaya

kaghaz ki tehreeron men

dhundli c tasveeron men

ik chehra anjana yaad aaya

wo parhna usay kitaabon men

or dhoondna usay khawabon men

usay paanay ki is koshish men

meri neend ka jana yaad aya

aj gosha-e-tanhai men

ik shakhs purana yad aaya


Aaj Meri Shab-E-Furqat Ki Sehar Aai Hai




Aaj Meri Shab-E-Furqat Ki Sehar Aai Hai
Muddaton Baad Teri Raahguzar Aai Hai
 
Dekh To Lijiye Meray Khun-E-Tamannaa Ki Bahaar
Jis Ki Surkhi Meri Aankhon Mein Utar Aai Hai
 
Tu ney To Tark-E-Muhabbat Ki Qasam Khaai Thi
Kyun Teri Aankh Mujhey Dekh Kay Bhar Aai Hai
 
Un Kay Pairaahan-E-Rangin Ki Mehak Hai Is Mein
Aaj Kaya Baad-E-Sabaa Ho kay Udhar Aai Hai
 
Is Mein Kuchh Un Ki Jafaayen Bhi To Shaamil Hain ‘Shamim’
Bevafaai Ki Jo Tohamat Meray Sar Aai Hai



Ranj Day Kar Malaal Kartay Ho




Ranj Day Kar Malaal Kartay Ho

Tum Bhi Saajan Kamaal Kartay Ho

Daikh Kar Pooch Liya Haal Mayra

Chalo Kuch To Khayaal Kartay Ho

Shehar-e-Dil Main Yeh Udasiyan Kaisi

Yeh Bhee Mujh Say Sawaal Kartay Ho

Marna Chahain To Mar Nahin Saktay

Tum Bhi Jeena Muhaal Kartay Ho....!




درد مشترک




تمھیں دیکھا نہیں،جانا نہیں،پھر بھی یہ لگتا ہے

قبیلہ ایک ہے اپنا

وہی درد جدائی ہے۔وہی بھیگی ہوئی پلکیں

نصیبہ ایک ہے اپنا

کسی سے کچھ نہیں کہنا،کوئی شکوہ نہیں کرنا

قرینہ ایک ہے اپنا

کسی کی یاد سے ویرانہ دل جگمگا لینا

خزینہ ایک ہے اپنا

یقیں کی آخری حد تک،ملن کی خوش گمانی ہے

نتیجہ ایک ہےاپنا۔۔۔۔۔
!!!

Monday 28 November 2011

dayaar-e-noor men teeraa shabon ka sathi ho




dayaar-e-noor men teeraa shabon ka sathi ho
koi to ho jo meri vehshaton ka sathi ho

main us sey jhooth bhi boloon to mujh sey sach boley
merey mizaaj key sab mausamon ka sathi ho

wo merey naam ki nisbat sey mo'atabar thehrey
gali gali meri rusvaiyon ka sathi ho

main us key haath na aaoon wo mera ho k rahey
main gir parroon to meri pastiyon ka sathi ho

wo khwab dekhey to dekhey merey hawaley sey
merey khayalon key sab manzaron ka sathi ho

HAR SU TERI YAD BIKHARTI DEKHI HAI



JAHA'N JAHA'N BARSAAT UTARTI DEKHI HAI
HAR SU TERI YAD BIKHARTI DEKHI HAI

TUM SAY PEHLAY DIL SA BUZDIL KOI NA THA
AUR PHIR DIL SAY DUNIYA DARTI DEKHI HAI

WEERANAY BHI HAM NAY DEKHEY CHALTEY PHIRTEY
KHAMOSHI BHI BAATIEN KARTI DEKHI HAI

DIL KEY GEHREY SANNATON MAIN RAATON KO
KABHI KABHI IK KOOK UBHARTI DEKHI HAI

BAS IK JEENAY KI KHAWAHISH THI AUR WOH BHI ´
HAM NAY APNI AANKHON MARTI DEKHI HAI




wo thakaa hua meri baahon main zara so gayaa thaa to kayaa huaa



wo thakaa hua meri baahon main zara so gayaa thaa to kayaa huaa
abhii main ney dekhaa hai chand bhi kisi shaakh-e-gul pey jhukaa huaa

jisey lay gayee hai abhi hawaa woh waraq thaa dil ki kitaab kaa
kahin aansuon sey mitaa huaa kahin aansuon sey likhaa huaa



kai meel rait ko kaat kar koi mauj phool khilaa gayee
koi pairr pyaas sey mar rahaa hai nadi kay paas kharra hua

mujhey haadson sey sajaa sajaa kay bohat hasin bana diya
meraa dil bhii jaisey dulhan ka haath ho mehndiyon sey rachaa huaa

wohi khat keh jis pey jagah jagah do mehaktey honton kay chaand thay
kisi bhoole-bisray sey taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa

wohi shehar hai wohi raastey wohi ghar hai aur wohi baagh bhi
magar us darichey sey puchna vo darakht anaar kaa kayaa huaa

meray saath jugnu hai hamsafar magar is sharar ki bisaat kayaa
yeh chiragh koi chiragh hai na jalaa huaa na bujhaa huaa




TU GHAZAL OARH KAY NIKLAY YA DHANAK OAT CHUPAY




TU GHAZAL OARH KAY NIKLAY YA DHANAK OAT CHUPAY
LOG JIS ROOP MAIN DEKHAIN TUJHEY PEHCHANTEY HAIN

YAAR TO YAAR HAIN AGHYAAR BHI AB MEHFIL MEN
MAIN TERA ZIKR NA CHEROO'N TO BURA MANTEY HAIN

KITNEY LEHJO'N KEY GHILAAFO'N MEN CHUPAAUN TUJH KO
SHEHAR WALEY MERA MAUZU-E-SUKHAN JAANTEY HAIN

kal shab tera khayal bari dair tak raha





kal shab tera khayal bari dair tak raha
dil dard sey nidhaal bari dair tak raha

paaney ki jo khushi thi woh to aarzi rahi
khoney ka yeh malaal bari dair tak raha

jaaga to saamney thi terey hijr ki khabar
haan khavab main visaal bari dair tak raha

honton sey aik lafz-e-mohabbat ada hua
gull rang uska gaal bari dair tak raha

merey ilaawa rakhta tha kis kis sey maraasim
aankhon main yeh sawal bari dair tak raha




aur to koi na tha jo jurm-e-baghawat karta





sham k saaye jo sooraj ko chupaaney nikley
hum diye ley k andhairon ko jalaaney nikley

aur to koi na tha jo jurm-e-baghawat karta
aik ham hi they jo yeh rasm nibhaaney nikley

shehar main, dasht main, sehra main bhi tujh ko paaya
ay gham-e-yaar terey kitney thikaaney nikley

chand nikla toh main logon sey lipat kar roya
gham k aansoo they jo khushiyoun k bahaaney nikley!!!


rishta safar ka hai mera



tum say manzil ka nhi...
rishta safar ka hai mera
yeh zaroori to nhi
sath chala bhi jaaey
tum say mila bhi jaaey
ishq deedar ka mohtaaj nhi hota
ik ehsaas ka rishta hai yeh khushbu ki terha
dekhnay,chhoonay say aari,ik jadu ki terha
sirf awaaz he kaafi hai muhabbat kay liay
aur sab kuch izafi hai muhabbat kay liay





ruteN visaal kii ab Khavaab honey vaalii haiN






ruteN visaal kii ab Khavaab honey vaalii haiN
keh uskii baat kaa lehjaa badaltaa jaataa hai




phoool wafa k khil jayen gay






main nay poocha kesay ho?
badlay ho ya waisay ho?

roop wohi andaz wohi
ya phir is mein koi kami?
hijar ka kuch ehsaas to hoga?
koi tumharay pass to hoga?

main bichra yeh majboori thi
kab manzoor mujhay yeh doori thi
sath hamara kab chhuta hai?

rooh ka rishta kab toota hai?
aankh say jo aansoo behtay hain
tum ko khabar hai kaya kehtay hain?
main nay kaha awaaz tumhari

aaj bhi hai humraaz hamari
phoool wafa k khil jayen gay
ik din hum phir mil jayen gay,,,,,

Kaya rukhsat-e-yaar ki gharri thi




Kaya rukhsat-e-yaar ki gharri thi
Hansti hui raat ro parri thi

Hum khud hi huey tabah warna
Duniya ko hamari kaya parri thi

Yeh zakham hain un dinon ki yaaden
Jab aap sey dosti barri thi

Jaatey to kidhar ko teray wehshi
Zanjeer-e-junoon karri pari thi

Gham the keh Faraz aandhiyan theen
Dil tha keh Faraz pankhari thi


Salooq e yaar sey dil doobnay laga hai Faraz



Na tera qurb hai na baada hai kaya kiya jaaye
Phir aaj dukh bhi zayada hai kaya kiya jaaye

Hamain bhi gharz e tamana ka dhab nahi ata
Mizaj e yaar bhi sada hai kaya kiya jaaye

Kuch apnay dost bhi turkash badosh phirtay hain
Kuch apna dil bhi kushada hai kaya kiya jaaye

Wo mehrbaan hai magar dil ka hirs bhi kam ho
Talab karam sey zayada hai kaya kiya jaaye

Na us sey tarq e taluq ki baat ker paaye
Na hamdami ka irada hai kaya kiya jaaye

Salooq e yaar sey dil doobnay laga hai Faraz
Magar yeh mahfil e ada'a hai kaya kiya jaaye




Tera Aks........



Tera Aks........

Meri aankhon Men...

Thehra Is Tarha

Keh...

Phir BEENAI
 Ban Gaya.......




Tum Aur Main







Oonchay Parbat
Neelay Saagar
Pagal Barish
Tum Aur Main

Mehendi Khushboo
Kajla Aanchal
Band Hatheli
Tum Aur Main

Door Kaheen
Barish Men Bheegi
Pehli Sarson
Tum Aur Main

Jab Tu Chhairay
Zulfen Meri
Chandan Khushboo
Tum Aur Main

angan Men Koi
Chota Sa Ghar
Matti Choolha
Tum Aur Main

Har Raah Har Soo
Pheli Khushboo
Barish Badal
Tum Aur Main

Kaandha Tera
Aur Sir Mera
Pagal Si Chup
Tum Aur Main

Kaalay Badal
Rim Jhim Barish
Neela Aanchal
Tum Aur Main

Paas Kisi
Koyal Ki Ku Ku
Gehra Jangal
Tum Aur Main

Oonchay Oonchay
Ghanay Ghanairay
Boltay Pattay
Tum Aur Main




TERI MUHABBAT NAY MAAR DAALA



TERI MUHABBAT NAY MAAR DAALA HAZAAR AIZAA SAY MUJH KO ZAALIM


RULA RULA KAR,GHULA GHULA KAR,JALAA JALAA KAR,MITA MITA KAR



adhoorey khaab ki aadhi saza men jee'tay hain..



khumaar-e-gham hai, mehakati fiza men jee'tay hain
teray khayal ki aab o hava men jee'tay hain..

firqaq-e-yaar men saanson ko rokey rakhatey hain
har ek lamha utarti qaza men jee'tay hain..

na baat poori huee thi keh raat toot gayee
adhoorey khaab ki aadhi saza men jee'tay hain..

tumhari baaton men koyee masiha basta hai
hasin labon sey barasti shafa mein jee'tay hain..

khawab aankhon samait toota hai






aks e jaanaan ki khair ho rabba
khawab aankhon samait toota hai



meri palkon per ab tak kuch adhooray khawab jaltay hain





Suno!
main thak gaya hoon

meri palkon per ab tak kuch adhooray khawab jaltay hain

meri neendon main teray wasl ka resham ulajhta hai

meray aansu meray chehray pey teray gham ko likhtay hain

meray ander kai'i sadiyon k sannaton ka daira hai

magar main thak gaya hoon

aur main ney khamoshi ki goad men sir rakh diya hai

main baalo'n men tumharay hijer ki naram ungliyaan mehsoos kerta hoon

meri palkon pey ab jaltay khawab hain raakhh ki soorat

tumharay wasl ka resham bhi ab neendain nahi buntaa

meri aankhon main jaisay thehray mosam ka basaira hai

mujhay under k sannaton men gehrii neend aaii hai

sunoo....! us yaad sey keh do

Mujhey Kuch Dair Soney Day




Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets