Sunday 13 November 2011

Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jaye Gi




Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jaye Gi
Raat Gehri Hay Mager Chaand Chamakta Hay Abhi
Meray Mathay Pay Tera Pyaar Damakta Hay Abhi
Meri Saans Main Tera Lams Mehakta Hay Abhi
Meray Seenay Main Teran Naam Dharakta Hay Abhi
ZeesT Karnay Ko Meray Pass Bohat Kuch Hay Abhi
Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jaye Gi

Teri Aawaz Ka Jadu Hay Abhi Meray Liye
Teray Malboos Ki Khushboo Hay Abhi Meray Liye
Teri Bahain, Tera Pehloo Hay Abhi Meray Liye
Sab Say Barh Kar Meri Jaan Tu Hay Abhi Meray Liye
ZeesT Karnay Ko Meray Pass Bohat Kuch Hay Abhi
Aaj Ki Shab Tu Kisi Taur Guzar Jaye Gi

Aaj Kay Baad Mager Rang -e- Wafa Kaya Ho Ga
Ishq Hairaan Hay Sar -e- Shaher -e- Saba Kaya Ho Ga
Meray Qatil ! Tera Andaz -e- Jafa Kaya Ho Ga
Aaj Ki Shab Tu Bohat Kuch Hay, Mager Kal Kay Liye
Aik Andesha -e- Be Naam Hay Or Kuch Bhi Nahi
Dekhna Yeh Hay Keh Kal Tujh Say Mulaqat Kay Baad
Rang -e- Umeed Khilay Ga Keh Bikhar Jaye Ga !
Waqt Parwaaz Karay Ga Keh Thehar Jaye Ga !
Jeet Ho Jaye Gi Ya Khail Bigar Jaye Ga !
Khawab Ka Shehar Rahay Ga Keh Ujar Jaye Ga !


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets