Sunday 27 November 2011

Apni ruswai teray naam ka charcha dekhun





Apni ruswai teray naam ka charcha dekhun
Ik zara sher kahun aur main kaya kaya dekhun


Neend aa jaye to kaya mahfilen barpa dekhun
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra dekhun


Sham bhi ho gai dhundhala gai aankhen bhi meri
Bhulney waley main kab tak tera rasta dekhun


Sab ziden us ki main puri karun her baat sunuun
Ik bachay ki tarha se usay hansta dekhun


Mujh pey chhaa jaye wo barsat ki khushbu ki tarha
Ang ang apna ussi rutt men mehakta dekhun


Tu meri tarha sey yakta hai magar meray habib
Jee main aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun


Main ney jis lamhey ko puja hai ussey bas ek bar
Khawab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun


Tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
Janey kyun terey liye dil ko dharakta dekhun




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets