ay ishq na chairr aa aa k hamen

ham bhooley huon ko yaad na kar

pehlay hi bohut nashaad hen ham

too aur hamen nashaad na kar

qismat ka sitam hi kam nhi kuch

yeh taaza sitam eejaad na kar

yoon zulm na kar bedaad na kar

ay ishq hamen barbaad na kar



jis din sey miley hen dono ka

sab chain gaya aaraam gaya

chehron sey bahaar-e-subah gaee

aankhon sey farogh-e-shaam gaya

haathon sey Khushi ka jaam chhoota

honton sey hansi ka naam gaya

ghamgeen na bana naashaad na kar

ay ishq hamen barbaad na kar



raaton ko uth uth kar rotey hen

ro ro kar duayen kartey hen

aankhon men tasawwur dil men Khalish

sar dhuntey hen aahain bhartey hen

ay ishq yeh kesa rog laga

jeetey hen na zaalim martey hen

yeh zulm to ay jallaad na kar

ay ishq hamen barbaad na kar