woh tiir chhoRa huaa to usii kamaan ka thaa
agarchay haath, kisii aur meharbaan ka thaa

guzar rahaa thaa woh lamha jo darmeyaan ka thaa
magar yeh waqt baRRay saKht imtehaan ka thaa

pataa nahiiN, keh judaa ho kay, kaisay ziNda rahay
hamaara uska ta'alluq to jism-o-jaan ka thaa

hawaa to chaltii hii rahtii hai is samaNdar meN
qasoor ko_ii agar thaa to, baadbaan ka thaa

vahii kahaanii kabhii jhooTh thii, kabhii sach thii
zaraa sa farq agar thaa to bas, bayaan ka thaa

qadam-qadam pay naye maNzaroN kii hairat thii
terii galii ka safar thaa, keh ik jahaan ka thaa

ham apnay naam kay hissay ko DhooNDtay bhii kahaaN
zamiiN kay paas jo kuchh thaa, aasmaan ka thaa

kahiiN zameen pay saanii nahiiN milaa uskaa
woh shaKhs jaisay kisii aur aasmaan ka thaa