Raat ki zulfen barham barham,
Dard ki lau hai madham madham,

Mere qissay galiyan galiyan,
Tera charcha aalam aalam,

Ishq ki raatein patthar patthar,
Husn ki baatein resham resham,

Ek jaza hai jannat jannat,
Ek khata hai aadam aadam,

Ek azaab hai basti basti,
Ek sada hai maatam maatam,

Hijr kay lamhey zakhmi zakhmi,
Uski yadein marham marham...!!!