Saturday 5 November 2011

kab wo shamil ho saka meray kisi ehsaas mai





sauchta hoo'n aaga'hee k iss safar ney kaya diya
khoo'n jalanay k siwa meray hunar ney kaya diya

meri shaakho'n sey lipat kar aasmaa'n tak chhoo liya
aur ab bailain yeh kehti hain..shajar ney kaya diya

jiss ney apni har khushi ghar ki khushi par waar di
aik wehshat k ilawa uss ko ghar ney kaya dya

kab wo shamil ho saka meray kisi ehsaas mai
sath chalnay k siwa ik ham safar ney kaya diya

umr k andhay safar mai kaun rakhta hai hisaab
manzilo'n say kia mila hai, reh'guzar ney kaya diya

aarzoo'ain kiss qadar karti hain dil par aitebaar
aarzuo'n ko dil e naa moatabar ney kaya diya

"SHAD" dil mai har taraf ab khwahisho'n ka shor hai
mainay apni ik tamanna ko ubharnay kaya diya

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets