Friday 11 November 2011

kisi khush nigaH si aankh nay yeh kamaal mujh par karam kiya




kisi khush nigaH si aankh nay yeh kamaal mujh par karam kiya
meray jism-o-jaan par raqam kiya
woH jo ek chanD sa ha’rf tha woH jo ek sham sa naaM tha
Woh jo ek phool si baat phirtI thi dar badaR
usay gulistaN ka pata diya
Mera dil keh shehar e malaL tha usay rosHni main basa diyA
meri aaNkh meray khwaab ko kisi ek pal maiN bah’aM kiya
meray aa’inon main jo garD thi mah-o-saal ki
woh utar gayee
woh jo dhunD thi meray char soo woH bikhar gayee
sabhi roop aks ay jamal kay
sabhi khwaab shaam-e-wasal kay
jo ghubar e waqt main sar basar thay attay huwey
woH chamak uthay
woH jo phool raH ki dhool thay woh mehak uthay
liye saat rang baHar kay
chala sung main jo bahar kay
to saja diye sabhi raastay
kisi dast e shobda saaz nay
meray naam par meray waastay
meri bay ghari ko panaH di meri justaju ko niShaaN diya
jo yaqeen say bhi haseen hai muJHay ek aisa gumaN diya
jo reza reza wajooD tha
usay ik nazar main bahaM kiya
kisi khush nigaH si aankh nay yeh kamaaL mujh pay karaM kiya




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets