Friday 11 November 2011

Koi apna nahi banta!!!




Koi apna nahi banta!!!
Labon pay naam rakhnay say
Dilon main yaad karnay say
Har ik dharkan, har ik tarpan
Kisi key naam karnay say
Koi apna nahi banta...!!!
Tamam umar ki khushiyan
Mohabbat ki sabhi ghariyan
Kisi ko daan karnay say
keh ...us pay maan karnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Woh pehlay pyar ki batain
Rafaqat ki sabhi raatain
Woh chahat ki sabhi rasmain
Mohabbat ki sabhi qasmain
Humaisha yaad rakhnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Kisi tanha akaili raah guzar par
Puranay say kisi boorhay shajar par
Patthar say koi dil bananay say
Aur...
Uss main apna or kisi ka naam sajanay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Keh jab......aankhain hi marr ja'ain
To phir sapna nahin banta
Yeh jeewan daaan kar ja'ain
To bhi apna nahi banta
Koi apna nahin banta...!!!
Koi apna nahin banta...!!!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets