Socha nahi acha bura, dekha suna kuch bhi nahi
maanga Khuda sey raat din teray siwa kuch bhi nahi

socha tujhey, dekha tujhey, chaha tujhey, pooja tujhey
meri khata, meri wafa, teri khata, kuch bhi nahi

jis per hamari aankh ney moti bichaye raat bhar
bheja wohi kaagaz usy hum ney likha kuch bhi nahi

ik shaam ki dehleez per baithy rahy wo dair tak
aankhon sey ki baaten bohat mager munh sey kaha kuch bhi nahi

do char din ki baat hai dil khaak mein so jaye ga
jab aag per kaagaz rakha baqi bacha kuch bhi nahi

No comments:
Post a Comment