Wednesday 16 November 2011

main bhiir main gum ho gai tanhai k dar sey




mushkil hai ab shehar main nikley koi ghar sey
dastaar pey baat aa gai hai hoti hui sar sey

barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par
ik umr meray khait they jis abr ko tarsey

is baar jo eendhan k liye kat k gira hai
chiriyon ko barra pyar tha us buurhay shajar sey

mehnat meri aandhi sey to mansub nahin thi
rehna tha koi rabt shajar ka bhi samar sey

khud apney sey milney ka to yara na tha mujh main
main bhiir main gum ho gai tanhai k dar sey

benaam musafat hi muqaddar hai to kaya gham
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar sey

pattharaya hai dil yun keh koi ism parha jaye
yeh shehar nikalta nahin jadu k asar sey

niklay hain to rastey main kahin sham bhi hogi
suraj bhi magar aaye ga is rah-guzar sey

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets