Wednesday 9 November 2011

Meray Dard ki jo Dawa karay koi aisa ShakHs Huwa karay








Meray Dard ki jo Dawa karay koi aisa ShakHs Huwa karay 
Woh jo Bepanaah Udaas ho, magar hijr ka na gila karay 


Meri chahteiN meri QurbateiN jissay Yaad aayeN qadam qadam 
To woh sab say chup kay Libaas-e-shab meiN, lipat kay aah o baka karay 


Barhay uska Gham to Qaraar kho dey, wo meray gham kay khayaal say 
UtheiN hath apnay liye to phir bhi meray liye hi Dua kare 


Yeh QiSaaS Ajeeb-o-Ghareeb haiN,yeh MohabbatoN kay Naseeb haiN 
mujhay kaissay khud say juda karay, usay kuch batao keh kaya karay. 


Kabhi Tay karay youNhi soch soch meiN wo Firaaq kay Faaslay 
Meray peechay Aaa kay dabbey dabbey, meri AankheiN mooNd hansa karay 


Barra Shor hai meray Shehar meiN, kissi Ajnabi kay Nazool ka 
Woh meri hi Jaan na ho kahiN, koi kuch to jaa kay patta karay 


Yeh to Meray Dil hi ka Aks hai, maiN nahiN hooN per meri Aaarzoo Ko
 jaunoon hai mujhay yeh bata dey to phir jo chaahay qazza karay 


Bhalla kaissay apnay hi Aks ko maiN rafiq-e-jaan bana sakooN 
Koi aur ho to bata to day, Koi hai kahiN to sadaa karay 


Ussey Dhoondti haiN galli galli, meri KhilwatoN ki UdaasiaaN 
Wo miley to bass yeh kahooN keh Aaa, mera maulaa tera Bhala karay



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets