Monday 14 November 2011

Meray Sahir Teri Aankhain










Meray Sahir Teri Aankhain
Yeh Kaisa dArd Rakhtii hAin
Inhien Likhney Kii Khwaahish Mein
Meri Qalam Thakii Kitna
Inhien Parhney Kii Chahat Mein
Meri Aankhien jalli Kitna

Main Likh Likh Kar Teri Aankhien
Sunata Tha jO dUnya Ko
Zamana Ruktii SaansOn Mein
Teri AankhOn Ko Sunta Tha
Zamaney dOob jAtey They
jO tUjh Ko Yaad Rakhtey They
Wo Khud Ko BhOol jAtey They

Kisi Shab Ki Sa'at Mein
Teri AankhOn Sey SOya Tha
tO Jitney Khwaab Bhi Dekhey
Main PehrOn In Pey ROya Tha
Teri AankhOn Sey Takra Kar
tO Sapney tOot jAtey hAin
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa dArd Rakhti hAin ?

Yeh Sapney Aur Bhii Laayen tO
Kisi TaBeer Kii SOorat
Inhien Soney Nahii Daita
Kisi SheeShey Sey Manzar Par
Teri Aankhien jO Uth jAyen
Wo SheeSha Zard hO Jaaye
Misaal e dArd hO Jaaye

Teri AankhOn Kii MehrOomii
Kisi Chehrey Ki dOalat Sey
Kyun Janey Kum Nahii hOtii

Yeh SadiyOn Ka Saffar Aur hAi
Laraztii Narm PalkOn Mein
Zamana Saaz Sii Aankhien
Na Janey Kab Sey Pathar hAin
kyun Janey Num Nahii hOtien

Yeh SOcha Tha Kabhi Main Ney
Yahii Kuch Main Ney SOcha Tha
Keh ChahOon tO FaQt Eik Lams Dey Kar Hii
Inhien Phir Sey Jagga DaalOon
Main Is GumSum Sey Pathar Ko
Mehaz ChOo Kar Rula DaalOon
Main In AankhOn Mein Likha dArd
mOhabbat Sey Mitta DaalOon

Magar Jab ROo-BarOo Paaya
Teri AankhOn Ko Meri jAan
Teri Aankhien Meri AankhOn Mein
Jaisey Jazb hOtii Thiin
Main KhUd Ko bhOol Baitha Tha
mUjhey tUm Yaad Rehtey They

Teri AankhOn Key dUkh Darya
Meri AankhOn Sey Behtey They
Meri Aankhien Bhi Ab Bilkul
Teri AankhOn Sii Lagtii hAin
wOhii HaSrat wOhii WehShat
wOhi ChUp Chaap Pathar Sii
Keh Jiss Manzar Pey Uth Jayen
Aseer e dArd Kar Jaayen

Main Kab Sey SOch Mein gUm hOon
mUjhey Kuch tu Hii Samjha Dey
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa dArd Rakhtii hAin ??


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets