Tuesday 22 November 2011

Mohabato'n sey shanasa huwa main jis din sey






Junoon men shauq ki gehraiyo'n sey darta raha
Main apni zaat ki sachaiyo'n sey darta raha

Mohabato'n sey shanasa huwa main jis din sey

Phir us k bad shanasaiyo'n sey darta raha

Wo chahta tha keh Tanha miloon to baat karay

...Main kaya karoon keh main tanhaiyo'n sey darta raha

Mein regzaar tha mujh main basay thay sannatay….

Isi liye to main shehnaiyo'n sey darta raha

Main apnay baap ka yousuf tha is liye Mohsin

Sakoon sey so na saka Bhaiyo'n sey darta raha…..





No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets