Thursday 17 November 2011

Mujhe mila to girift-e-shabb-e-malaal mai tha



Na baab-e-harf-o-sada mai, na maah-o-saal mai tha
Jawaab jiss ka nahi tha, woh uss sawaal mai tha


Mai zindagi ki tarha uss ki baat baat mai thi
Woh roshni ki tarha, meray khad-o-khaal mai tha


Yeh harf harf mai khusbu, yeh roshni ka hunar
Mera to kuch bhi nahi, sab teray jamaal mai tha


Jo muskura kay judai ki baat karta tha
Mujhe mila to girift-e-shabb-e-malaal mai tha


Yeh log yun to nahi thay jo ab zawaal mai hain
Yeh shehar aisa nahi tha keh jab kamaal mai tha


Keh manzaron mai jo manzar thay woh khulay mujh par
Yehi hunar to meri wus’at-e-khayaal mai tha


Andhairi raat mai jaisay chiraagh jal utthain
Yeh kiya tilism teray ism-e-baymisaal mai tha




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets