Sunday 13 November 2011

phir nain to saawan bantay hain




jab pyaar ki rut badal jaaye
aur mohabbat rog main dhal jaaye
phir nain to saawan bantay hain
jab dil ka nazuk sheesha chupkey sey
seeney key ander toot jaaye
aur is ki kirchiyan saarey wajood ko
dheerey dheerey ghayal karain
phir nain to saawan bantay hain
jab sheh'r e tamanna main
hum dil ka dard chupaayen
gali gali nagar nagar
ik teri khoj main bhatkain aur
phir tu bhi hamain na mil paaye
phir nain to saawan bantay hain
jab hamaarey dehshat zada kamray main
teri yaadon ka ik hujoom ho
saans lainey main bhi dushwari ho
sirf maat hi maat hamaari ho
neend bhi rukhsat ho
aur khuwab bhi kho jaayen
phir nain to saawan bantay hain


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets