Saturday 12 November 2011

Shehr-e-Dil ki Galiyon main




Shehr-e-Dil ki Galiyon main
Shaam sey bhataktay hain
Chand k Taman-na-ee
Baiqarar Saudaii
Dil Gudaz Tarikii
Jan Gudaz Tanhai
Rooh-o-Jaan ko Dasti haii
Rooh-o-Jaan main Basti hai
Shehr-e-Dil ki Galiyon maain

Taak-e-Shab ki bailon per
Shabnami Sarshakhon ki
Beqarar Logon nay
Beshumaar Logon nay
yadgaar chorhi hay
Itni Baat Thori Hai ?

Sud-Hazar batain thin
Hela-e-Shakebaee
Sooraton ki Zebai
Qaamaton ki ranaii
In siyah raaton main
Aik bhi na yaad aaee
Ja bja bhataktay hain
Kis ki rah taktay hain
Chand kay taman'naee

Yeh Nagar Kabhi Pehlay
Is Qadar Na Veeran Tha
Kehnay walay kehtay hain
Qarya-e-Nigaraan Tha
Khair apnay Jeenay Ka
Yeh bhi aik samaan tha

Aaj Dil main Veerani
Abr ban kay Ghir aaii
Aaj Dil ko kya Kahiay
Ba-Wafa Na Harjai
Phir Bhi Log Diwanay
Aa gaey hain samjhanay
Apni wehshat-e-dil k
Bun liay hain afsanay
Khush khayal duniya nay

Garmiyaan to Jaati hain
Woh rutain bhi aati hain
Jab Maluul raaton may
Doston ki baaton may
Ji na chain paaey ga
Aur oob jaaey ga
Aahaton say Gonjain gi
Shehar-e-Dil ki Pinhaee
Aur chand raaton main
Chandni kay Shedaii
Har bahanay niklain gay
Aarzoo ki Gehraii
Dhondnay ko Ruswaii
Sard Sard Raaton ko
Zard Chand Bakhshay ga
Bay-Hisaab Tanhaii
Bay-Hijaab Tanhaii
Shehar-e-Dil Ki Galiyon main.........!!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets