Saturday 12 November 2011

suna hai teray shehar men nazool-e-wafa ka mousam






suna hai teray shehar men nazool-e-wafa ka mousam
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai


suna hai wahan dilon ka milan hota hai
roohon ka visal aur hijar ka inkar hota hai


wahan zulf bikhray tu raat ka aalam
jo simtay to savera hota hai


suna hai ashk jab koi bahey to
wahan sawan ka mousam hota hai


taara jab bhi tootay kaheen asmaan may
nazuk haathon may kushkool-e-dua hota hai


suna hai wahan kalaam karti hain muhabtain
nafraton ka qatal-e-aam hota hai


suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyon sey rooh-e-jaan hamari hota hai


usko salam-e-muhabat kehna
jiski aankh may ashk meray naam ka hota hai


wo bhi shayad mehsoos karta ho
dard jo firaaq may yahan hota hai


uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai


suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai
kaheen aankh may uski pyar ka rang hota hai


chalo us basti ki janib chaltey hain 
jahan rang-e-qos-o-qazah, aur raqs ishq may hota hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets