Wednesday 2 November 2011

Wasl Ka Sukoon Kaya Hai, Hijr Ka Junoon Kaya Hai, Husn Ka Fusoon Kaya Hai, Ishq Ka Daroon Kaya Hai




Shehar Kay Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kaya Ziyan Kaya Hai, Tum Na Jaan Paao Gay
Dil Kay Daam Kitnay Hein Khawab Kitnay Mehngay Hein Aur Naqd-E-Jaan Kaya Hai Tum Na Jaan Paao Gay
Shehar Kay Dukandaro, Shehar Kay Dukandaro


Koi Kaisay Milta Hai, Phool Kaisay Khilta Hai, Aankh Kaisay Jhukti Hai, Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Rah Nikalti Hai, Kaisay Baaten Chalti Hain, Shoq Ki Zabaan Kaya Hai, Tum Na Jaan Paao Gay
Shehr Kay Dukandaro, Shehar Kay Dukandaro


Wasl Ka Sukoon Kaya Hai, Hijr Ka Junoon Kaya Hai, Husn Ka Fusoon Kaya Hai, Ishq Ka Daroon Kaya Hai
Tum Mareez-E-Danai Maslehat Kay Shaydai Raah-E-Gumrahan Kaya Hai, Tum Na Jaan Paao Gay
Shehar Kay Dukandaro, Shehar Kay Dukandaro


Zakhm Kaisay Phaltay Hein, Daagh Kaisay Jaltay Hein, Dard Kaisay Hota Hai ,Koi Kaisay Rota Hai
Ashq Kaya Hai, Naalay Kaya, Dasht Kaya Hai, Chhaalay Kaya, Aah Kaya, Fughaan Kaya Hai, Tum Na Jaan Paao Gay
Shehar Kay Dukandaro, Shehar Kay Dukandaro


Na'muraad Dil Kaisay Subha Shaam Kartay Hein Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein
Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadon Ki Tanhai Zeest Be-Amaan Kaya Hai, Tum Na Jaan Paao Gay
Shehar Kay Dukandaro, Shehar Kay Dukandaro


Jaanta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai, Shakhsiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho, Sirf Lafz Suntay Ho, In Kay Darmayaan Kaya Hai, Tum Na Jaan Paao Gay
Shehar Kay Dukandaro, Shehar Kay Dukandaro

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets