Tuesday 31 January 2012

Aaj aisa kertay hain




Aaj aisa kertay hain
Be sadaa lafzon men
Wajh-e-zindagi keh k
Wasl ki zaroorat par
Phir sey zor detay hain
Aaj aisa kertay hain
Zikr wohi kertay hain
Naam aur detay hain

Zabt k kinaaron sey
Dard aan lipta hai
Toot-tay kinaaray ab
Dard aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Dard sey ulajhtay hain
Zabt chorr detay hain

Taar Taar daaman ko
Khaar khaar raahon men
Ranjishain bhula k hum
Aa keh jorr detay hain
Aaj aisa kertay hain
Khud nahin palat-tay hain
Raah morr detay hain

Sabz sabz mausam men
Laal laal aankhon k
Khawaab ki ragon sey hum
Khoon nichorr detay hain
Aaj aisa kertay hain
Ye bhi kar guzartay hain
Khawaab torr detay hain

Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon men
Phir sey kar k alwidaa
Mauqa aur detay hain
Aaj aisa kertay hain
Darya men utartay hain
Rabb pey chorr detay hain...!!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets