Tuesday 24 January 2012

aaNsuoN ka hisaab rakhta hai




aaNsuoN ka hisaab rakhta hai
dil meN kitney azaab rakhta hai.


jaaney kiski hai qabr wo jis par
roz taazaa gulaab rakhta hai.


jaag kar kaat'ta hai shab aksar
phir bhi palkoN pey khwaab rakhta hai.


uljhaneN haiN sabhi k seeney meN
kaun ab inqlaab rakhta hai.


wo jo aaye to noor-sa bikhrey
aaNkh meN aaftaab rakhta hai.


aaiina bhi bohat pareeshaN hai
rukh pey hardam naqaab rakhta hai.


yaad kii dhoop jab sataati hai
sar pey meri kitaab rakhta hai.


wo jo chaahey to kaya nahiN hoga
yuN hi khana-kharaab rakhta hai.


gungunata hai chhup k meri ghazal
shauq to lajawaab rakhta hai.


shekhji us sey door hi rehna
wo purani sharaab rakhta hai.


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets