Wednesday 25 January 2012

Hamari anaa ko gawara he na tha kej Mohabbat maang kar ley'tay



Hamari anaa ko gawara he na tha kej Muhabbat maang kar ley'tay

Aur Un may itna zarf na tha keh bin maangay luta dey'tay

Aik mudat tak iss dil ki beqarariyan na gayein

Her roz Ussay khat likhtay, her roz jala dey'tay

Khud ko Uss ki Mohabbat k qabil he na samjha warna

Toot k Ussay aisa chahtay keh khud ko bhula dey'tay

Kabhi aazma k dekhtay Uss ki khawahishon ki khatir

Uss k qadmon may bikhr jatay, Uss ki rahon ko saja deytay...!!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets