Thursday 19 January 2012

Her naqsh ko aankho'n me'n utar jaanay ki zid hai



Ruknay ka irada tha, guzar janay ki zid hai
Phir josh e musafat, kisi dewanay ki zid hai

Ham ney abhi, khushbu ki, kahani nahi kholi
Kyu'n shehr e lab o gosh ko, afsanay ki zid hai?

aabaad hai ujray ho'ey, chehro'n ki wafa sey
yeh shehar ki basti nahi, veranay ki zid hai

Reh reh k usay dekhna, acha nahi lekin
Her naqsh ko aankho'n me'n utar jaanay ki zid hai

Apnon kay woh andaaz, na pehlay sey maraasim
Guzray ho'ey din raat ko, dohranay ki zid hai

Maloom nahi wehshat e befaiz janu'n ko
Jeenay ki taman'na hai, keh marr janay ki zid hai

Us reig e rawa'n sey, gul o gulzaar ki khawahish
Yeh ishq nahi hai, kisi deewaney ki zid hai

kis ramz ka aazaar khula chashm e janu'n par
ab hamko samajhnay ki, na samjhanay ki zid hai


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets