Roodaad-e-Qafas yaad, na andaaz-e-fughan yaad

Jo beet gayi, beet gayi, ab woh kahan yaad

Tum bhool gaye hum ko to kaya is men ta'ajub

Is daur men karta hai kisay, kon, kahan yaad

Kaafi thi tabahi k liye gardish-e-dauraan

TUM aisay men kyun aa gaye ay Jaan-e-Jahaan yad

Apney sey raqabat ka yeh aalam hai keh tauba

Hum bhool gaye khud ko, Woh aaye hain jahaan yaad

Maazi k dareechay sey kabhi jhaank k dekho

Shayad Tumhain aa jaaey mera naam-o-nishaan yaad..