Monday 19 March 2012

Abhi To Hijr Ki Likhni Hain Saari Maatmii Raatein



Mujhay Jo Kuch bhi Kehna Tha Abhi Main Keh Nahi Paya
Meri Tehreer Ki Zad Men Abhi To Kuch Nahi Aaya


Abhi Voh Karb Likhna Hay Jisay MehsoOs Karta Hoon
Abhi Voh Khawab Likhnay Hain Jo In AnkhOn Men Paltey Hain
Mujay Un Ko bhi Likhna Hay Jinhein Main DhoOnd Naa Paya
Meri Tehreer Ki Zad Men Abhi To Kuch Nahi Aya
Abhi Voh Log Likhney Hain Jo KhO Kar Haath Maltay Hain

Abhi Voh Ashk Likhna Hay Kabhi Jo Beh Nahi Paya

Meri Tehreer Ki Zad Men Abhi To Kuch Nahi Aaya

Abhi To MausmOn Ki ShOkhiyan Tehreer Karni Hain
Uthaaney Hain Abhi Darya Sey Mujh Ko Pyas k Pehrey
Abhi To Kushk PairrOn Pey Mujhay RimJhim bhi Likhni Hay
Kahin Pey DhoOp Likhni Hay Kahin Pey Teergi Chaya


Meri Tehreer Ki Zad Men Abhi To Kuch Nahi Aaya

Abhi To Mujh Ko Likhni Hain Kisi Ki Reshmi Zulfein
Kisi Ki Surmagein Palkein,Kisi Ki Aankh Ka Kajal
Kisi Ki An Kahii Baatein Macha Dein Dil Men Jo Hulchal
Abhi Voh Sab bhi Likhna Hay Jo Mera Ishq Kehlaya


Meri Tehreer Ki Zad Men Abhi To Kuch Nahi Aaya

Abhi To Voh Safar Likhna Hay Jo DarPaish Hay Mujh Ko
Abhi To Tum Ko Apni Pyas Ka Sehra Dikhana Hay
Abhi To Hijr Ki Likhni Hain Saari Maatmii Raatein
Abhi To Aisay Lamhey bhi Tumhen Aa Kar Sunanay Hain
keh Jin Sey Ashk AankhOn Men Magar Iss Dil Ko Behlaya


Meri Tehreer Ki Zad Mein Abhi To Kuch Nahi Aaya...!!!
 



Abhi Sey Saath Chorey Ja Rhay Ho Kis Liye Janaa'n
Abhi To Khul Key Dil Ka Haal Bhi tUm Ko Na Batlaya


Meri Tehreer Kii Zad Men Abhi tO Kuch Nhi Aaya
 




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets